yar ulfat azab lagti hai ab mohabbat azab lagti hai dost dushman-numa jo hote hain un se raghbat azab lagti hai ek shikayat si jaise ghar mein gai ab shikayat azab lagti hai pahle pahle to us ke khwahan the ab ye shohrat azab lagti hai puri kar kar zaruraten ghar ki har zarurat azab lagti hai jab se ranjish hamari khatm hui ab kudurat azab lagti hai jab mili hai saza shararat ki har shararat azab lagti hai