banda-e-mohr-ba-lab hun main sana-khwan tera dil mein rahta hai muqaffal gham-e-pinhan tera zindagi kuchh bhi nahin soz-e-mohabbat ke baghair aag us dil ko lage jo nahin khwahan tera qulzum-e-ishq ke tufan se bachna malum ai dil-e-zar ab allah nigah-ban tera kyun gul-e-tar ko main aaine se tashbih na dun is mein aata hai nazar chehra-e-khandan tera hauz-e-kausar bhi ho us jam pe sadqe sau bar jis mein mujh ko nazar aae rukh-e-taban tera