dagh dil chamka to gham paida hua ye andhera subh-dam paida hua main hun wo gum-gashta-e-rah-e-talab meri hasti se adam paida hua ho gai har ek beshi mein kami jab khayal-e-besh-o-kam paida hua un ke aane ki khushi kya chiz thi is khushi se aur gham paida hua mai-kade mein shaikh bhi aaya agar gardan-e-mina mein kham paida hua husn mein takhliq ka jauhar bhi hai us ke main kahne se ham paida hua yaad un ki yun rafiq-e-rah thi har qadam par ham-qadam paida hua kya kahen hum is ada-e-khas ko har karam se ek sitam paida hua marg ka kuchh bhi na tha ai 'josh' gham un ke wade se ye gham paida hua