banda-parwar jo na pachhtaiyega

banda-parwar jo na pachhtaiyega
banda-khana pe kabhi aaiyega

yaad kijega mohabbat agli
ghair ke milne se sharmaiyega

bosa dijega gale lag lag kar
zyaada aur mujh ko na bakwaiyega

mere ghammaz ko apne dar se
dhakke yakbar to diwaiyega

husn ke sadqe meri khatir se
kadar-e-dil zara dhulwaiyega

sitam-o-jaur-o-jafa ka shewa
chhod dijega na bal khaiyega

taqat-o-sabr tahammul mera
le ke kuchh aur hi farmaiyega

zindagi hijr mein hona malum
ji mein aata hai ki mar jaiyega

zulf mein dil ko phansa kar mere
aap shane se na suljhaiyega

said matlub ho to banda ka sar
apne fitrak se latkaiyega

arz 'afridi' ki kije manzur
aap tashrif idhar laiyega

gar na manoge meri baat suno
phir na mere tain samjhaiyega

yan pe mauquf hai kya 'afridi'
munh na phir hashr ko dikhlaiyega


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close