jawani yaad hum ko apni phir be-ikhtiyar aai hua diwanon mein jab ghul bahaar aai bahaar aai hua tha marg se ghafil main kis din josh-e-wahshat mein saba kyun le ke mere samne musht-e-ghubar aai dikhae ranj piri ke ajal tere taghaful ne tujhe aana tha pahle aah tu anjam kar aai hamare tausan-e-umr-e-rawan ke tez karne ko shamim-e-zulf dosh-e-baad-e-sarsar par sawar aai na paya waqt ai zahid koi main ne ibaadat ka shab-e-hijran hui aakhir to subh-e-intizar aai na kuchh khatra khizan ka hai na ehsan-e-bahaar us par adam se apni shakh-e-arzu be-barg-o-bar aai hamari dekhiyo ghaflat na samjhe wae nadani hamein do din ke bahlane ko umr-e-be-madar aai jo nang-e-ishq hain wo bul-hawas fariyaad karte hain lab-e-zakhm-e-'hawas' se kab sada-e-zinhaar aai