bandagi mein guzar nahin hoti zindagi yun basar nahin hoti soz-e-dil se agar nahin hoti to dua kargar nahin hoti dekhne hi ki jaan hoti hai dil pe apne nazar nahin hoti haal-e-baatin ko aap kya jaanen chashm-e-zahir jo tar nahin hoti din mein hazir sukun nahin hota chain se shab basar nahin hoti bagh-e-ulfat mein har hasin khwahish bar-dar-e-samar nahin hoti parda-dari ka is liye hai gila rehn aql-e-bashar nahin hoti wo mohabbat jo ain fitrat hai aql par munhasar nahin hoti un se rahti hai ba-khabar duniya jin ko apni khabar nahin hoti shauq-e-parwaz ain iman hai koi ummid par nahin hoti fikr-e-manzil hai rah mein hail be-khudi ham-safar nahin hoti jo tajalli nazar se makhfi ho wo nasib-e-bashar nahin hoti sajde do-chaar hi ghanimat hain chaakari umr bhar nahin hoti shan-e-rahmat se saf sabit hai sadgi mukhtasar nahin hoti 'shad' rahta hun bazm-e-rindan mein is mein fikr-e-sahar nahin hoti