bandh len hath pe sine pe saja len tum ko ji mein aata hai ki tawiz bana len tum ko phir tumhein roz sanwaren tumhein badhta dekhen kyun na aangan mein chameli sa laga len tum ko jaise baalon mein koi phul chuna karta hai ghar ke gul-dan mein phulon sa saja len tum ko kya ajab khwahishen uthti hain hamare dil mein kar ke munna sa hawaon mein uchhaalen tum ko is qadar tut ke tum pe hamein pyar aata hai apni banhon mein bharen mar hi dalen tum ko kabhi khwabon ki tarah aankh ke parde mein raho kabhi khwahish ki tarah dil mein bula len tum ko hai tumhaare liye kuchh aisi aqidat dil mein apne hathon mein duaon sa utha len tum ko jaan dene ki ijazat bhi nahin dete ho warna mar jaen abhi mar ke mana len tum ko jis tarah raat ke sine mein hai mahtab ka nur apne tarik makanon mein saja len tum ko ab to bas ek hi khwahish hai kisi mod par tum hum ko bikhre hue mil jao sambhaalen tum ko