kisi ke ishq ka ye mustaqil aazar kya kahna mubarak ho dil-mahzun tera isar kya kahna na karte iltija didar ki musa to kya karte chala aata hai kab se wada-e-didar kya kahna wahi karta hun jo kuchh likh chuke mere muqaddar mein magar phir bhi hun apne fel ka mukhtar kya kahna qadam uthte hi dil par ek qayamat bit jati hai dam-e-gulgasht us ki shokhi-e-raftar kya kahna shab-e-hijran pe meri rashk aata hai sitaron ko bharam tujh se hai mera dida-e-bedar kya kahna tere naghmon se 'wasif' ahl-e-dil masrur hote hain ba-in afsurdagi rangini-e-guftar kya kahna