bandhna dil ko mere zulf-e-girah-gir ke sath khub khelega ye qaidi teri zanjir ke sath pahle wo aae to baad un ke adu ko dekha khwab aaya bhi to aaya mujhe tabir ke sath kisi banke ke banae hue abru hain tere khub takraya hai shamshir ko shamshir ke sath log kahte hain ki is dil mein khuda rahta hai kis liye chal diya phir us but-e-be-pir ke sath aaj main ja ke kahunga ye adu se 'asghar' apni taqdir badal le meri taqdir ke sath