but ke parde mein khuda tha mujhe malum na tha lal patthar mein chhupa tha mujhe malum na tha dhundhta main raha tasbih ke danon mein use zarre zarre mein khuda tha mujhe malum na tha dil ne ja ja ke kiye lakhon tawaf-e-kaba aur wo dil mein chhupa tha mujhe malum na tha ism-e-ahmad mein ahad aap chhupa baitha tha mim ka parda pada tha mujhe malum na tha le ke dil ghair ka wo dil mein mere aa baitha ghar mein ek chor chhupa tha mujhe malum na tha hosh aate hi ye musa ki zaban se nikla tur pe nur-e-khuda tha mujhe malum na tha kis ne chaunka diya kyon hosh mein aaya 'asghar' be-khudi mein hi maza tha mujhe malum na tha