bandish-e-alfaz hi se shairi hoti nahin

bandish-e-alfaz hi se shairi hoti nahin
sirf ji lene se jaise zindagi hoti nahin

shairi kaifiyyat-e-jazb-o-junun ka nam hai
ye na ho to shairi phir shairi hoti nahin

jo bhi ho lekin hamare waste ye shairi
parda-dar-e-raaz-ha-e-zindagi hoti nahin

garmi-e-jazbaat mein imkan hasin dhoke ka hai
dil ki chingari farogh-e-daimi hoti nahin

pak hota hai junun-o-justuju se raazdan
raaz-dani be-niyaz-e-agahi hoti nahin

mukhtalif ek dusre se hain haqiqat aur majaz
kucha-e-mahbub kaba ki gali hoti nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close