dhuan dhuan hai gham-e-gardish-e-safar se charagh

dhuan dhuan hai gham-e-gardish-e-safar se charagh
ajib sahme hue hain hawa ke dar se charagh

ajab tilism-kada hai ye jabr fitrat ka
ki raushni mein rahe raushni ko tarse charagh

ye khamushi ka bayaban ye shab ka koh-e-sukut
ye khwab khwab sa manzar ye be-khabar hai charagh

ye waqt aisa samundar ki jis ke daman mein
sadaf sadaf si hain raaten guhar guhar se charagh

meri ragon mein lahu ki shua ho ki na ho
hazar-ha hain farozan mere hunar se charagh

main kya dikhaun urus-e-ghazal ka rang-e-jamal
abhi 'ayaz' bahut dur hai nazar se charagh


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close