bane-banae hue raston pe ja nikle ye ham-safar mere kitne gurez-pa nikle chale the aur kisi raste ki dhun mein magar hum ittifaq se teri gali mein aa nikle gham-e-firaq mein kuchh der ro hi lene do bukhar kuchh to dil-e-be-qarar ka nikle nasihaten hamein karte hain tark-e-ulfat ki ye khair-khwah hamare kidhar se aa nikle ye khamushi to rag-o-pai mein rach gai 'nasir' wo nala kar ki dil-e-sang se sada nikle