banjara ban gaya koi dar dhundhta raha main teri kaenat mein ghar dhundhta raha ek roz khauf dil se nikala kuchh is tarah sar ko patakhta rah gaya dar dhundhta raha jab baadshah ki jaan bhi khatre mein pad gai maqtal ke waste koi sar dhundhta raha atki hui falak pe thi meri bhi ek du'a rizq-e-haram kha ke asar dhundhta raha the daere ke gird rawan roz-o-shab mere uljhi rahi lakir safar dhundhta raha main zindagi se maut ki jaanib tha gamzan kitna main be-khabar tha khabar dhundhta raha chakma diya tha main ne hi dariya ko ja-ba-ja bach kar nikal gaya main bhanwar dhundhta raha 'majid' na ehtisab kiya apni zat ka mahw-e-safar raha main bashar dhundhta raha