bap zinda phir raha hai aur beTe mar gae

bap zinda phir raha hai aur bete mar gae
budhe bargad ke achanak kitne hisse mar gae

tha mohabbat ka wazifa is liye shadab the
aankh soi baghban ki aur paude mar gae

zehn-o-dil mein khauf tha ye sans rukni hai zarur
dar ke qaidi dekhiye phir darte darte mar gae

de raha hai mujh ko wo rizq-e-sukhan aaghaz se
warna mere jaise kitne aae kitne mar gae

ek taraf thi ‘aish-o-‘ishrat ki faza miras mein
aur kuchh aslaf ke gham dhote dhote mar gae

uf darindon ki baqa ma'sum jaanen le udi
kuchh shikam mein kuchh zamin par panw dharte mar gae

khud-farebi se muzayyan zindagi ke roz-o-shab
bad-nasibi jhut kahte jhut sunte mar gae

dastan-e-‘ishq mein 'majid' naya kirdar hai
mujh se pahle 'faiz'-o-'jalib' likhte likhte mar gae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close