baqa ka aur fana ka moamla hai huzur charagh aur hawa ka moamla hai huzur main us ko manun na manun mujhe mile na mile ye mera aur khuda ka moamla hai huzur ye meri tujh se mohabbat agar khata hai to phir yahan pe husn-e-khata ka moamla hai huzur ye tai hua bhi agar hoga nok-e-neza par ye ek karb-o-bala ka muamla hai huzur hai ek dil ko ijazat yahan dhadakne ki hatheli aur hina ka moamla hai huzur tabhi to sachcha khuda bhi khamosh hai 'ammar' ye aastin ka asa ka moamla hai huzur