bana ke naqa-e-ulfat ka sarban mujhe phir us ke baad phiraya gaya jahan mujhe idhar wo bichhda udhar ek sitara tuta phir main aasman ko dekhun aur aasman mujhe hasad nifaq adawat hawas dagha lalach lage hai zahr ye nafrat ka khandan mujhe kisi guman pe karta nahin yaqin kabhi kabhi yaqin pe hota nahin guman mujhe kisi ke panw se mas ho gai tabhi 'ammar' meri zamin lage rashk-e-asman mujhe