baqi hai tab-e-zabt na taqat fughan ki hai haalat bahut saqim dil-e-na-tawan ki hai aankhon mein josh hai kabhi tufan nuh ka dil mein mere tadap kabhi barq-e-tapan ki hai ai aah-e-na-rasa tere nale hain be-asar behtar yahi hai baat rahe jo jahan ki hai hota hai josh gar ye jo ab baat baat par dil mein mere ye chot ilahi kahan ki hai ai dil tujhe natija-e-ulfat hai khub yaad aur phir bhi aarzu tujhe ku-e-butan ki hai jis ko samajh rahe hain wo baadal ki ek garaj fariyaad dardnak kisi khasta-jaan ki hai bulbul hai khush ki bagh mein hai khak aashiyan ye kaun jaanta hai ki mitti kahan ki hai sone diya na shor-e-qayamat ne qabr mein samjha tha main ki jae ye amn-o-aman ki hai rang-e-shafaq se sham ko milta hai ye pata ab aasman pe gard mere karwan ki hai mansur ki fana hai baqa-e-sada-e-haq aawaz wadiyon mein abhi tak azan ki hai samjha raha hun dil ko nahin phir bhi e'timad wo baat kah raha hun jo un ki zaban ki hai hai dil-gudaz yun bhi meri dastan-e-gham tasir us pe kuchh mere tarz-e-bayan ki hai 'hafiz' ye kaenat na ho jae jal ke khak badhti hui tapish mere soz-e-nihan ki hai