baqi jahan mein qais na farhad rah gaya afsana aashiqon ka faqat yaad rah gaya ye sakht-jaan to qatl se nashad rah gaya khanjar chala to bazu-e-jallad rah gaya pabandiyon ne ishq ki bekas rakha mujhe main sau asiriyon mein bhi aazad rah gaya chashm-e-sanam ne yun to bigade hazar ghar ek kaba chand roz ko aabaad rah gaya mahshar mein ja-e-shikwa kiya shukr yar ka jo bhulna tha mujh ko wahi yaad rah gaya un ki to ban padi ki lagi jaan muft hath teri girah mein kya dil-e-nashad rah gaya pur-nur ho rahega ye zulmat-kada agar dil mein buton ka shauq-e-khuda-dad rah gaya yun aankh un ki kar ke ishaara palat gai goya ki lab se ho ke kuchh irshad rah gaya naseh ka ji chala tha hamari tarah magar ulfat ki dekh dekh ke uftad rah gaya hain tere dil mein sab ke thikane bure bhale main khanuman-kharab hi barbaad rah gaya wo din gae ki thi mere sine mein kuchh kharash ab dil kahan hai dil ka nishan yaad rah gaya surat ko teri dekh ke khinchti hai jaan-e-khalq dil apna tham tham ke bahzad rah gaya ai 'dagh' dil hi dil mein ghule zabt-e-ishq se afsos shauq-e-nal-o-fariyaad rah gaya