baqi na hujjat ek dam-e-isbaat rah gai sabit kiya jo us ka dahan baat rah gai kya jald wasl-e-yar ki kam raat rah gai jo baat chahte the wahi raat rah gai bad-namiyon ke dar se wo milte hain gah gah chori-chhupe ki un se mulaqat rah gai giryan wo hun jo abr-e-mizha ki jhadi lagi munh mera dekh dekh ke barsat rah gai har-waqt baat baat pe dete ho jhidkiyan kyun sahab ab hamari ye auqat rah gai milta nahin kisi se bashar koi be-gharaz matlab ki ab jahan mein mulaqat rah gai gardish mein sath un aankhon ka koi na de saka din rah gaya kabhi to kabhi raat rah gai waiz ko apne rang pe le aaya khinch kar aaj aabru-e-rind-e-kharabaat rah gai baaten sunain ghairon ke aage jo yar ne farmaiye phir aap ki kya baat rah gai furqat mein sabr-o-hosh to sab kuch kar gae par ek jaan morid-e-afat rah gai tauhin-e-mai na karti thi rindon mein waiza izzat tumhaari qibla-e-hajat rah gai dil mein to khak udti hai zahir mein hain fida ab to munafiqana mulaqat rah gai dene ke badle dete hain sail ko jhidkiyan ye rah gae amir ye khairaat rah gai dil paemal karne the raftar-e-naz ko ye chaal tujh se o but-e-bad-zat rah gai aamada jaan lene pe meri thi wo magar kya jaanen kyun ubhar ke teri gat rah gai duniya se badh ke kaun hai harjai dusra do din na kis ke pas ye bad-zat rah gai jo kuchh tha pas kar chuke sab nazr mai-farosh ab mai-kashon ki qarz pe auqat rah gai karna tha naqd-e-hosh use nazr ai 'qalaq' pir-e-mughan ki hum se mudaraat rah gai