bashar ke faiz-e-sohbat se liyaqat aa hi jati hai pari-zadon ko aakhir aadamiyat aa hi jati hai jawani se diya wo hote hain ghafil zaifi mein nasim-e-subh chalti hai to ghaflat aa hi jati hai kilid-e-qufl mushkil hoti hai dad-o-dahish aakhir sakhi ke ek din aade sakhawat aa hi jati hai raqib us shokh se jab garmiyan karte hain mahfil mein nahin qabu mein dil rahta hararat aa hi jati hai hamein bhi yaad kar lete hain wo bhule se sohbat mein kabhi hum be-nasibon ki bhi naubat aa hi jati hai tabiat ko na kyunkar ghair ke mazmun se nafrat ho ki jhuti chiz se aksar karahat aa hi jati hai baja kahte hain jo kahte hain ye khidmat se azmat hai ki kaam insan ke ek din riyazat aa hi jati hai ajab sar-garm-e-koshish ho muqaddar mein jo hoti hai to hath insan ke ek roz daulat aa hi jati hai tassuf karte hain wo dekh kar mera dil-e-viran kharabe par guzarte hain to ghairat aa hi jati hai dabaya jab raqibon ko to bole yar kya kahna jo arbab-e-haya hain un ko ghairat aa hi jati hai hasinon ko hi zeba husn-e-surat par ghurur apne har ek arbab-e-daulat ko raunat aa hi jati hai ajab shai hai khushi bhi sun ke wasl-e-yar ka muzhda mariz-e-hijr ke chehre pe wahshat aa hi jati hai chhupane se nahin chhupta hai husn-e-dil-kash-e-alam kahin ho dekhne mein achchhi surat aa hi jati hai sikha deta hai iqbaal aadmi ko nek-o-bad aakhir ye daulat hai wo shai shan-e-riyasat aa hi jati hai tawajjoh munimon ki nafa se khali nahin hoti hawa-e-gosha-e-daman-e-daulat aa hi jati hai sitam-dida jo hain wo zikr-e-afat se bhi darte hain 'qalaq' nam-e-shab-e-furqat se dahshat aa hi jati hai