bar-e-KHatir hui ye umr-e-gurezan jaanan

bar-e-khatir hui ye umr-e-gurezan jaanan
tujh ko samjha tha gham-e-hijr ka darman jaanan

aa bataun tujhe aashob-e-tamanna kya hai
kaise katti hai ye tar-e-shab-e-hijran jaanan

main ne har gham ko gham-e-ishq se tabir kiya
gham-e-jaan ho ya bala se gham-e-dauran jaanan

koi dekhe meri aankhon se asiri ka fusun
ghar hua jata hai ek halqa-e-zindan jaanan

ek bhi tir-e-nazar tera khata jata nahin
sab hue jate hain paiwast-e-rag-e-jaan jaanan

khud-kushi hai ya ye izhaar-e-gham-e-furqat hai
khud se hone laga hun dast-o-gareban jaanan

umr-bhar ghuncha-e-hasti na shagufta dekha
hum ne jaise bhi basar ki tera ehsan jaanan

kunj-e-ghurbat mein 'muzaffar' ne ghanimat samjha
jis qadar bhi wo hua be-sar-o-saman jaanan


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close