zindagi ki sharab pani hai aur wo bhi kharab pani hai jaane wali sadi sada bar-lab aane wala azab pani hai nafraton ka badal mohabbat hai aag ka ek jawab pani hai harf-e-baatin bhi harf-e-zahir bhi ek aisi kitab pani hai ye samundar samajh nahin sakta ek pyase ka khwab pani hai ek qatra nahin hai aankhon mein har taraf be-hisab pani hai