bara chand gae punam ke pyar bhara ek sawan bhi gae dinon mein sal bhi guzra aur gaya kuchh jiwan bhi jashn jit ka kaun manae kaun uthae haar ka gham aks mera bhi bikhra sa hai tut gaya wo darpan bhi mere qad ko mapne wale shayad tujh ko yaad nahin ungli par hi uth jata hai kabhi kabhi gowardhan bhi pahle tu aaghaz-e-safar kar phir taron ki dukanon se baali bunde jhumke pael le dunga main kangan bhi us ko chhu kar laut raha hun mahak raha hai jism aise jaise mahak rahi ho dhuni kasturi aur chandan bhi