bite waqt ka chehra DhunDhta rahta hai

bite waqt ka chehra dhundhta rahta hai
dil pagal hai kya kya dhundhta rahta hai

khamoshi bhi ek sada hi hai jis ko
sunne wala goya dhundhta rahta hai

shabnam shabnam pighli pighli yaaden hain
mera gham to sahra dhundhta rahta hai

us ne apni manzil hasil kar li hai
phir kyun ghar ka rasta dhundhta rahta hai

dil sab se milta hai halke lahje mein
sab mein kuchh kuchh tujh sa dhundhta rahta hai

bech diya gul-dan wirasat ka us ne
bhai mera ab gamla dhundhta rahta hai

jeb mein dil thaile mein patthar le kar 'arsh'
shahr koi diwana dhundhta rahta hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close