bara-e-nam-o-nasab go nahin hunar mera bana hua hai magar marhala safar mera mere rafiq main muddat ka lut gaya hota khuda ka shukr ki khali pada tha ghar mera main un se shikwa karun bhi to kis tarah aakhir ki ab to un pe bhi hota nahin asar mera hawa ne zor to apna laga liya lekin bujha na pai charagh-e-fan-o-hunar mera main un ke nam ki nisbat se jaana jata hun yahi to ek hawala hai mo'atabar mera wo jis ko kahti hai 'iqrar-mustafa’ duniya wahi hun main ye taaruf hai mukhtasar mera