badla mizaj main ne jo apna hawa ke sath dariya tha mere sath kinara hawa ke sath phir yun hua ki khwab-sara mein hawa chali phir yun hua ki ud gaya sapna hawa ke sath main bujh gaya hun aap ki sirf ek phunk se sadiyon lada hun warna main tanha hawa ke sath duniya se ikhtilaf hai is baat par mujhe jis samt ki hawa chale duniya hawa ke sath tere badan ko chhu ke guzarti hai kis liye bas is pe ikhtilaf hai mera hawa ke sath manzil khulus ki na mujhe aaj tak mili is raste pe kash na chalta hawa ke sath 'iqrar' kya kahun ki wo khushbu sa ek shakhs chaaron taraf wo aur bhi mahka hawa ke sath