barabar khwab se chehron ki hijrat dekhte rahna guzar chukne pe bhi wo sham-e-rahlat dekhte rahna dhanak ki barishen barfab shahron par nahin hotin yahan phulon ka rasta umr bhar mat dekhte rahna kitabon ki tahon mein dhundhna na-dida ashya ka palat kar phir koi khali ibarat dekhte rahna hujum-e-shahr ke sannate mein gum-sum wo tila sa usi ko aate jate be-zarurat dekhte rahna jise main chhu nahin sakta dikhai kyun wo deta hai farishton jaisi bas meri ibaadat dekhte rahna 'musawwir' kuchh na kahne ka ye dukh bhi sakht zalim hai talab kar legi lafzon ki adalat dekhte rahna