jo ahd-e-nau mein khamir-e-bashar banaya jae sinan ko hath to neze ko sar banaya jae shab-e-hayat ko aise sahar banaya jae ek aaftab sar-e-chashm-e-tar banaya jae mere hawas ko ye kaun hukm deta hai ki us ko markaz-e-qalb-o-nazar banaya jae main apne paikar-e-khaki se mutmain hi nahin mere khuda mujhe bar-e-digar banaya jae darun-e-zat kisi ka ye jabr hai mujh par usi ko jaan usi ko jigar banaya jae sukun-o-rahat-e-jaan ab kahin nahin mumkin tumhaare dil ko hi ab mustaqar banaya jae jo ham-nafas bhi ho hamraaz bhi ho hamdam bhi usi ko kyon na bhala ham-safar banaya jae bahut hi tang hain ye la-makan ke galiyare so dasht-e-zat ko hi rahguzar banaya jae agar banana hi lazim hai kuchh to ai 'khalid' khud apni khak ko ab ke guhar banaya jae