barae-dilkashi lafz-o-maani mang leta hai

barae-dilkashi lafz-o-maani mang leta hai
qalam se roz kaghaz ek kahani mang leta hai

shab-e-furqat mein jab dil dub jata hai udasi mein
tere rangin tasawwur se jawani mang leta hai

bhula deta hai azmat pyas mein apni samundar bhi
badha kar hath dariyaon se pani mang leta hai

charagh-e-rahguzar hun main haqiqat hai magar ye bhi
kabhi suraj bhi mujh se zau-fishani mang leta hai

rahe ye baat bhi pesh-e-nazar zill-e-ilahi ke
falak de kar zamin ki hukmrani mang leta hai

bharosa kijiye kis ki ata par ai 'kamal-anwar'
khuda bhi hum se wapas zindagani mang leta hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close