hamein safina-e-hasti ka rahnuma na mila khuda ko sath liya koi nakhuda na mila sukun-e-qalb mila be-niyaziyan pain uthae hath jo teri taraf to kya na mila kisi ki shirkat-e-aghyar kab gawara thi khuda ka shukr koi dard-ashna na mila tadap tadap ke tere bismilon ne maqtal mein badhae hath magar daman-e-qaza na mila mili thi aankh to phir tab-e-did bhi milti tajalliyon ke tamasha mein kuchh maza na mila tha iztirab mein wo lutf-e-zindagi muzmar phir us ke baad kisi baat mein maza na mila tumhaari shokhi-e-taqrir ka to kya kahna jawab saf kabhi meri baat ka na mila nigah sharm se nichi rahi pasheman ki wo be-wafa jo mila bhi to be-wafa na mila sharik-e-haal ab ahbab tak nahin hote 'shamim' hum ko bhi qismat se kya zamana mila