barae-khair shar se barsar-e-paikar ho jae jise jina ho marne ke liye tayyar ho jae azaem shal qawa mafluj dil be-kar ho jae agar aasaniyan hon zindagi dushwar ho jae jo rah-e-haq mein marne ke liye tayyar ho jae nazar mein us ki bazicha faraaz-e-dar ho jae agar shauq-e-shahadat ruh mein bedar ho jae jabin khanjar-ba-kaf ho aur nazar talwar ho jae inayat ki nazar dil par shah-e-abrar ho jae mera tarik kashana tajalli-zar ho jae wo dil jis ko khayal-e-mursal-e-mukhtar ho jae tajalli-gah-e-rahmat matla-e-anwar ho jae qayamat kya hai ai maula qayamat se agar pahle hamara aur un ka samna ek bar ho jae tanaffus mushk-afshan hai takallum barq-e-jumban hai tabassum hai ki goya nur ki yalghaar ho jae siyasat hai ye dil ki kya khabar ahl-e-siyasat ko ki kyun-kar parda-e-inkar mein iqrar ho jae ye duniya hai na ho nazan nahin tu ba-khabar nadan ye yusuf ke liye kab misr ka bazar ho jae guzarna hai mah-e-kanan ko ek din chah-e-kanan se jamal ab phir barae imtihan tayyar ho jae zamane ki qayaadat panw chumegi tere waiz agar guftar ke dhab par tera kirdar ho jae supurd-e-khak karte hain shahid-e-ishq ko yarab ye dana khak mein mil kar gul-o-gulzar ho jae sunaega kahan tak qissa-e-gham 'raaz' rahne de ye gham dar hai kahin dosh-e-falak par bar ho jae