manzilon ki chah le kar raston mein qaid hain jitne the aazad panchhi ghonslon mein qaid hain jo ye kahte the hamare panw mein til hai janab aaj aise log bhi apne gharon mein qaid hain tujh se pahle tere jaisi shan-o-shaukat ke yahan jaane kitne baadshah in maqbaron mein qaid hain jo kiye mahsus main ne us ko chhu kar pahli bar aaj bhi wo zaiqe in ungliyon mein qaid hain khud uthana pad raha hai bojh apna aaj-kal hashiya-bardar sare hashiyon mein qaid hain