barae nam sahi saeban zaruri hai zamin ke liye ek aasman zaruri hai tajjub un ko hai kyun meri khud-kalami par har aadmi ka koi raaz-dan zaruri hai zarurat us ki hamein hai magar ye dhyan rahe kahan wo ghair-zaruri kahan zaruri hai kahin pe nam hi pahchan ke liye hai bahut kahin pe yun hai ki koi nishan zaruri hai kahaniyon se malal un ko nind aane lagi yahan pe is liye wo dastan zaruri hai