barbaad ho gae hain bahut tere pyar mein

barbaad ho gae hain bahut tere pyar mein
afsurda aaj baithe hain gham ke hisar mein

leti hun roz lutf-e-aziyyat bahaar mein
ungli chubhoti rahti hun main nok-e-khar mein

kab laut kar tu aaega ai mere ham-nashin
sadiyan guzar gain hain tere intizar mein

bikhra hua hai chaar su yaadon ka ek hujum
halchal machi hui hai dil-e-be-qarar mein

tanhaiyon ke dasht mein jina muhaal hai
lamhe pahad hone lage hijr-e-yar mein

dar dar ki khak chhan rahi hun tere liye
surat bigad gai meri gard-o-ghubar mein

fursat kahan ki dhundhne jaun masarraten
'zinat' ulajh gai hun gham-e-be-shumar mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close