chehre par ek aur bhi chehra lagaiye

chehre par ek aur bhi chehra lagaiye
dil chahe ro raha ho magar muskuraiye

aisa na ho ki apni hi surat pe shak pade
itna bhi aaine ko na munh se lagaiye

ho fasla to aur bhi badh jati hai kashish
kuchh dur ja ke aur bhi nazdik aaiye

kanton se mere phulon ko nisbat nahin koi
main shakh-e-dil hun mujh se na daman bachaiye

mumkin jo ho sake to ufuq ban ke dosto
is aasman ko aaj zamin se milaiye

'jawed' apne aap ko samjhenge is tarah
ek musht-e-khak le ke hawa mein udaiye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close