barbaad na kar us ko zara hath pe dhar la ai baad-e-saba khak-e-dar-e-yar idhar la sayyaad se kya fikr hai ai tair-e-mazmun kaghaz ke tujhe par bhi lagen kaam to kar la le ja dil-e-betab nishani meri qasid simab se hai martaba-e-ishq khabar la ye kan hain mushtaq-e-khabar qasid-e-jaanan aankhon ko bhi didar hai manzur-e-nazar la hasrat hai kahin hasrat-e-dil us ki nikale is 'akhtar'-e-ghamgin ke liye dida-e-tar la