barf ke phul khile dhup ke dane nikle ab ke mausam mein sabhi khwab suhane nikle phir meri yaad tujhe chain na lene degi phir teri bazm mein mere hi fasane nikle do qadam badhte hi khud apna pata kho baithe jab bhi hum tujh ko teri yaad dilane nikle un ko har mod pe khushiyon ke dafine hi mile mere hisse mein faqat gham ke khazane nikle mera jalta hua ghar dekh ke ham-sae mere ghar se nikle to magar ashk bahane nikle zindagi tu ne hamein aur bhi maqruz kiya jab bhi hum log tera qarz chukane nikle