jaise jaise aalam-e-imkan badalta jaega zehn-e-insan nit-nae sanchon mein dhalta jaega ho sake to apni khushiyan dard ke maron mein bant zindagi ka karwan to yunhi chalta jaega ain mumkin hai use duniya hawas ka nam de dil ka jo arman bhi dil se nikalta jaega mere is ek ashk ki qimat mere hamdam na puchh aankh se jo tere daman tak machalta jaega 'naz' us ke ho nahin sakte marahil sadd-e-rah jis ko manzil tak pahunchna hai wo chalta jaega