barf-zar-e-jaan ki tah mein kholte pani ka hai jo bhi qissa hai lahu ki shoala-samani ka hai aasman se raushni utri bhi dhundla bhi chuki nam raushan hai to bas zulmat ki tabani ka hai regzar-e-lab ki har su ug rahi hai tishnagi aankh mein manzar uchhalte-kudte pani ka hai be-sabab hargiz nahin dast-e-karam kam kam idhar us ko andaza hamari tang-damani ka hai shahr ho ya ho bayaban ghar ho ya koi khandar silsila chaaron taraf ghul-e-bayabani ka hai mod par pahunche to dekhoge ki har manzil hai sahl bas yahi ek rasta hai jo pareshani ka hai