wada bhi us ne soch ke karne nahin diya phir us ke baad mujh ko mukarne nahin diya manzil tamam umr mere samne rahi ek raste ne mujh ko guzarne nahin diya be-khauf kar diya hamein tawiz-e-ishq ne ruswai ki balaon se darne nahin diya aisa ubur tha kisi patthar ko thes par aaina tod kar bhi bikharne nahin diya jis sarzamin ke husn pe nazan rahe sabhi us sarzamin ka husn sanwarne nahin diya