barfili wadiyon mein tamazat talash kar nafrat ke is jahan mein mohabbat talash kar dimak-zada kitab ki tauqir kam na kar danishwari ki is mein ibarat talash kar chehre udas kar diye khauf-o-hiras ne afwah ko na dekh haqiqat talash kar rahta nahin hai waqt sada ek sa kabhi khasta imaraton ki tu azmat talash kar chaupal pe to baith buzurgon ki baat sun 'raushan' khayal ki tu hikayat talash kar