ye kya watira tumhaare nae nizam ka hai sawal subh ka tha aur jawab sham ka hai hui hai jab se mohabbat mein meri ruswai tamam shahr mein charcha tumhaare nam ka hai jo tai kiya hai mashinon se aaj insan ne wo fasla to faqat mere ek gam ka hai ghazal mein lafz-e-adaq aaine pe patthar hai jo sher sahl ho wo zindagi ke kaam ka hai sawal ye nahin kis tarah koi jita hai sawal aaj ke insan ke ehtiram ka hai muazzizin mein un se bada hai khauf mujhe jinhen khayal faqat apne ehtiram ka hai udao tum bhi buzurgon ka ai 'said' mazaq ye faisla hi agar shahr ke awam ka hai