barg-o-bar kahan ki yahan hain nangi shakhen tanha ped biti ruton pe nauha-kunan hain nangi shakhen tanha ped gulzaron mein kahan guzar hai hum patjhad ke maron ka aao baithen chal ke jahan hain nangi shakhen tanha ped laut ke ab wo aa na sakenge jin ke dam se bahaaran thi yaad mein un ki mahw-e-fughan hain nangi shakhen tanha ped hijr ke phaile lamhon mein hain bar-e-khatir sabza-o-gul koi batao hum ko kahan hain nangi shakhen tanha ped maut-o-hayat ki had se nikal kar saya shayad koi mile apni to qismat mein nihan hain nangi shakhen tanha ped