banda-e-alam-e-kharab hun main zindagani ka inqalab hun main hai wo nur-e-jamal ki tafsir aur siyah siyah-bakhtiyon ka bab hun main zindagi nam hai mohabbat ka apne maqsad mein kaamyab hun main hun haqiqat se apni koson dur sar-basar waqf-e-iztirab hun mein umr-e-do-roza mustaar mili bahr-e-hasti mein naqsh-e-ab hun mein ek tamasha hai kar-gah-e-nazar main samajhta hun mahw-e-khwab hun main hai meri zindagi ka raaz yahi gharq-e-har-mauja-e-sharab hun main har rag-e-jaan hai masiyat ka nishan apne aamal ka hisab hun main al-gharaz kya kahun ki kya hun 'anis' zindagi ke liye azab hun main