bargashta aur wo but-e-be-pir ho na jae

bargashta aur wo but-e-be-pir ho na jae
ulti kahin duaon ki tasir ho na jae

dil jal ke khak ho to phir iksir ho na jae
jaan-soz hon jo nale to tasir ho na jae

kis sadgi se mujrmon ne sar jhuka liya
mahjub kyun wo malik-e-taqdir ho na jae

dast-e-dua tak uth na sake fart-e-sharm se
yarab kisi se aisi bhi taqsir ho na jae

maston ki thokar aur mera sar hai saqiya
dushman kisi ka yun falak-e-pir ho na jae

uthne hi ko hai beach se parda hijab ka
mahfil tamam aalam-e-taswir ho na jae

ghaflat na kijiyo kabhi qatil ki yaad mein
ai dil koi kami tah-e-shamshir ho na jae

baitha hai lau lagae koi tegh-e-naz se
qatil kisi ke kaam mein takhir ho na jae

jaldi subu ko tod ke saghar bana le ab
saqi is amr-e-khair mein takhir ho na jae

nalon ne zor bandha hai phir pichhli raat se
ai charkh chalte chalte koi tir ho na jae

dil se bahut shikayaten karte ho yar ki
dekho qalam se kuchh kabhi tahrir ho na jae

sair-e-chaman se dil na lagao chale chalo
fasl-e-bahaar panw ki zanjir ho na jae

anjam-kar par nahin kuchh ikhtiyar 'yas'
taqdir se khajil meri tadbir ho na jae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close