barha deti rahi hum ko duhai mahfil

barha deti rahi hum ko duhai mahfil
wo nahin the to hamein ras na aai mahfil

raushni husn-e-sukhan kuchh nahin bhaya dil ko
sirf yaadon ke charaghon se sajai mahfil

tha yaqin khud pe bharosa tha hunar pe apne
chah shohrat ki thi jo khinch ke lai mahfil

tazkira hota raha waqt guzaren kaise
raat jab bit gai hosh mein aai mahfil

raunaqen us ke liye jis ne khushi ho pai
dub kar karb mein kis ne bhala pai mahfil

sab ke chehron pe khamoshi ka tha aalam tari
nazm sunte hi bade wajd mein aai mahfil


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close