barish-e-sang hai us par kahan jata hai

barish-e-sang hai us par kahan jata hai
ai mere aaina-kirdar kahan jata hai

main samajhta tha wo jate hue rokega mujhe
aur puchhega mere yar kahan jata hai

main chala jata hun duniya ki taraf majburan
mere andar ka ye fankar kahan jata hai

main ne khud phenk ke talwar kaha dushman se
chhod kar apni ye dastar kahan jata hai

jab koi dast-e-talab badhta hai meri jaanib
dil tera jazba-e-inkar kahan jata hai

tujh se behtar hain kai log meri nazron mein
tu abhi jaanib-e-pindar kahan jata hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close