baDe saliqe se zindagi ko azab kar ke chala gaya tha

bade saliqe se zindagi ko azab kar ke chala gaya tha
wo kya gaya tha ki meri duniya ko khwab kar ke chala gaya tha

hum us ki yaadon ki bikhri kirchon ko apni palkon se chun rahe the
wo itni ujlat mein tha ki sab kuchh kharab kar ke chala gaya tha

ye kis ke jaane ke baad ab tak hum apne ashkon ko pi rahe hain
ye kaun tha jo hamari aankhen sharab kar ke chala gaya tha

kam-ahl hota to chhod jaane mein phir bhi thoda sa waqt leta
padha likha tha to jaldi kar-e-sawab kar ke chala gaya tha

wo apne hisse ki nafraton pe bhi aa ke thodi si baat karta
mohabbaton ka to khair sara hisab kar ke chala gaya tha

main phir bhi us ko duaen dunga ye meri fitrat ka hai taqaza
jo meri raaten jo meri ninden kharab kar ke chala gaya tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close