barish ke qatre ke dukh se na-waqif ho tum hanste chehre ke dukh se na-waqif ho tum ne sirf bichhad jaane ka karb saha hai pa kar kho dene ke dukh se na-waqif ho ek hi chhat ke niche rahte hain hum lekin tum mere lahje ke dukh se na-waqif ho sath kisi ke rah kar jo tanha katta hai tum aise lamhe ke dukh se na-waqif ho hathon ki chudi ki zaban samajh lete ho phaile hue gajre ke dukh se na-waqif ho jo manzil tak ja ke aur kahin mud jae tum aise raste ke dukh se na-waqif ho